Urdu Manzil


Forum
Directory
Overseas Pakistani
 

کنول ملک

اب ہمارے درمیاں یہ فاصلے ہیں اور بس

ایک ہم ہیں خاک ہے یہ راستے ہیں اور بس

تم نہیں ہو  ساتھ تو یہ  چاند  تارے اور ہم

خوں کے آنسوآنکھ میں، یہ رت جگے ہیں اور بس

کانچ کی مانند بکھرے خواب ہیں میرے کنول

ہاتھ میں ٹوٹے ہوئے سے آئینے ہیں اور بس

جاگتی آنکھوں کے کچے خواب ٹوٹے اس طرح

آنکھ میں چند بدمزہ  سے ذائقے ہیں اور بس

زندگی بھی اک سفرمیں ،عمر بھی کٹتی رہی

اور ہم چند دائروں میں گھومتے ہیں اور بس

آنکھ پر پٹی بندھی ہے میری قسمت کے کنول

کھو گئے ہیں وہ،انہیں ہم ڈھونڈتے ہیں اور بس

آج ان کی زرد پیشانی میری تربت پہ ہے

خاک ہاتھوں میں لئے وہ چومتے ہیں اوربس

1- Ba nam e Khuda
Sir sajday main, mera Maula!
ab or nahin tarsa Maula!
 
aa bhar le apnay daman main,
ik pursa hi de ja Maula!
 
har manzil sooni sooni hay
har rasta hay be raah maula!
 
kia jeewan rut ki raahoun main,
ab chalna hay tanha Maula?
 
shikwa na karon gar qismat se,
to or karoon main kia maula!
 
har shaks khafa sa lagta hay
ab jeena marna kia maula?
 
kioun andhiyare se dikhtay hain
har su maula! har jaa maula!
 
ye dhoop ghamoun ki chubhti hay
de sukh ki ik purwah maula!
 
aahain to arsh hilaati hain
kioun be maani har aah maula!
 
pathar ankhain chalni seena
ab pass bacha hay kia maula!
 
ik jism ka putla baaqi hay
ja isko bhi lay ja maula !
 


2- nazam
maan kia tujhay batayein...?
 
maan zindagi rulaye
kuch bhi nazar na aye
maan mout nay dagha di
or zindagi se haaray
maan fasiloun main liptay
maan hijratoun k maray
maan khwab k janazay,
or hasraton k laashay,
maan aik aik kar k
khud qabar main utaray
kia haal e dil sunain..?
maan kia tujhay batayein...?
maan kia tujhay batayein...?
 
taqdeer ham se roothi
khay ko E KHUDAYA!
taqdeer ne rulaya,
be ant zulm dhaya,
haye mere chaman se
har aik rang cheena
zakhmi kia hay seena
maan zakhm jo lagay hain
aakhir kisay dikhain
maan kia tujhay batayein...?
maan kia tujhay batayein...?
 
ghutt ghutt k ji rahay hain
ham zehar pee rahay hain
har zakhm riss raha hy
har zakhm see rahay hain...
ratoun ko jaagtay hain
saaye se bhaagtay hain...
tanhaiyan rulain
maan rastoun main tanha,
bus khaak ham ura'ain
maan kia tujhay batayein...?
maan kia tukhay batayein...?
 
parwardigaar ki ham,
minnat hazar kar lain,
mannat hazar manain,
khoon e jigar ko apnay
in ansoouon main bhar lain...
phir bhi sabhi duain,
zakhmi sabhi sadain
rastay se lout aain...
maan kia tujhay batayein...?
maan kai tujhay batayein...?
 
maan raat hans rahi hay
tanhaai dass rahi hay
maan chand mu chupaye
ashkoun ko poonchta hay
maan chaand b gawah hay
k karwatain badaltay
kat'ti hain apni ratain...
kuch bhi na soojhta hay
maan aa suna de lori,
k gham main jaagi ankhain,
ik baar so hi jain...
maan kia tujhay batayein...?
maan kia tujhay batayein...?
 
3- Nazam " youn kisi ki na azmaish ho"
 
tere in surkh hontoun main
chupi ik muskurahat thi
teri madham surroun main bhikhri
madham si wo hansi...
teri ankhain,tera chehra ,
teri batain , tera lehja
raat k pur sakoon lamhoun main
jab khyaloun pe chaanay lagta hay
dil kahan us gharri sambhalta hay...?
 
jab mujhay teri yaad aati hay
dil sulghta hay jaan jaati hay
mound kar bheegti si palkoun ko
dil jalati hoon , khoon roti hoon
ik gharri chain se na soti hoon...
pooch bistar ki salwatoun se kabhi...
raat bhar karwatain badalti hoon
hijar k eendhanoun main jalti hoon
sochti hoon kisi ki ankhoun main,
khwab hon , na kisi ki khwahsih ho
youn kisi ki na azmaish ho...
youn kisi ki na azmaish ho....
 
~kanwal malik~

1- Ghazal
Meri halat bigarti ja rahi hay
Muhabat hadd se barhti ja rahi hay

Ussay keh do sametay aa k mujhko
Kanwal~ teri bikharti ja rahi hay

Pooranay zakhm phir risnay lagay hain
Na'i barish utarti ja rahi hay

Dhoo’an chup chaap uthta ja raha hay
Hamari zaat jalti ja rahi hay

Nazar main chaand ki kirnain chubhi hain
Lo phir se raat dhalti ja rahi hay

Mujhay deemak ki mannid chaat’ti hay
Koi wehshat si palti ja rahi hay

Ye putla jism ka baaqi hay lakin
Hamari rooh marti ja rahi hay

Tumharay shehar main hay jashan jaari
Meri basti ujarti rahi hay

Karay hai bain dekho baal kholay
Muhabbat haath malti ja rahii hay
 
mere ye hath kat'tay ja rahay hain
magar douri ulajhti ja rahi hay

Lakeerain hath ki uljhi hui hain
meri qismat bigarti ja rahi hay
 
Guzar jaye ga wo nazrain jhukaye
Kanwal~ tu kioun sanwarti ja rahi hay

by KAnwAl MaLik


Gum sum,chup chup,khoya khoya
Door gaggan par betha chand

Uss nay dekha farsh pe jab se
Khud se b ik payara chand

Jis k hont chalaktay saghar,
Or tha jis ka chehra chand


Soch raha hay tab se ab tak
Farsh pe kese utra chand

Uski aik jhalak ki khatir
Dekho jhukta jhukta chand

Aik nazar wo khud ko dekhay
Aik nazar phir mera chand

Usko takta jaltay jaltay,
Badal main phir chupta chand

Dil ki dadhkan taiz hay ab tak
Pas se mere guzra chand

Usko ussay maang hi laitay
Or zara gar rukta chand


Nazar laga day na E chanda
Tujhko takta takta chand

Jaan hamari lay jata hay
Aisay aata jaata chand

Day kar apni jaan mana lain,
Ham se rootha rootha chand

Jaanay itna chup chup kioun hay
Soch main khoya khoya chand

Janay kesa dikhta hoga
Raat main soya soya chand..?

Kaash k meri mannind ik shabb
Yaad main meri rota chand

Kaash mere bus samnay rehta
Kaash k mera hota chand

Soch rahay hain kese mangain
Or kisi ki chatt ka chand

Janay day ab chor bhi pagal
Hota hay kab kis ka chand..?

KANWAL MALIK
5-
Baat thi muhabat ki
Baat thi muhabat ki
Umar bhar ki chahat ki

Payar ki kahani thi
Ishq k samandar main
Dard ki rawani thi
Jo ussay batani thi
Baat mukhtasar si thi,
Zeest k safar ki thi
Baat umar bhar ki thi

Har kathin se rastay main
Uskay sath hona tha
Us k sath hansna tha
Us kay sath rona tha
Dhoop main ya chaoun main,
Us kay sath jalna tha
Zindagi ki raahon main
Us kay sath chalna tha

Baat thi muhabat ki
Umar bhar ki chahat ki

Jo ussay batanay main
Zindagi ganwa di thi
Bhool kar jahan dono
Zaat ye bhula di thi

Sar jhuka k sajday main
Usko sochtay thay ham
Gir gira k qismat se
Usko mangthay thay ham
Uska naam aye to
Dil ko thaam laitay thay
Or baa’ wazoo ho kar
Uska naam laitay thay
Baat bandagi ki thi,
Baat thi ibadat ki

Baat thi muhabat ki
Umar bhar ki chahat ki

Usko kia batatay ham..?
Haal E Dil sunatay ham!
Dil ka haal sunnay ki
Kab usay faraghat thi…?
Aik din najanay kioun…?
Jab usay faraghat thi…….
Uss nay meri ankhaon main
Doob kar jo dekha to…
Bus yahi kaha mujhse
“Soch main youn khoi si,
Or roi roi si
Aisay sochti kia ho…?
Haath ki lakeeroun main,
Aisay khojti kia ho…?
Jatay jatay rastay se,
Mujhko rokti kia ho….?”
Main nay keh dia usse
Raat din har ik lamha,
Tumko sochti hon main
Hath ki lakeeroun main
Tumko khojti hon main
Jatay jatay rastay se,
Tumko rokti hon main
thaan kar shara'rat ki....

Baat hay muhabat ki
Umer bhar ki chahat ki..”

Us nay muskura kr phir….
Ye faqat kaha ham se
Baat hay himaqat ki
Sara sar himaqat ki”

Aaj sochti hon k
Haal e Dil sunnany main
Zindagi bita di to….?
Ham nay usko chahnay main,
umer ye ganwa di to…?
bhool ker jahan dono
zaat ye bhula di to…?
Jisko zindagi jana
Jisko bandage maana
Haan sila wafaoun ka
Kia dia kanwal~ us nay…?
Hamko maar hi daala
Haaye! Bay ajal us nay….
Hijar ki musafat main
Lamha lamha jalti hon
Zeest k safar main ab
Tanha tanha chalti hon

Or sochti hon k
Us nay sach kaha tha na!
Baat wo muhabbat ki
Umer bhar ki chahat ki
Baat thi himaqat ki
Sara sar himaqat ki…..”

Haan ager samjh laina
Kaash wo samjh laita

Baat thi muhabat ki
Umar bhar ki chahat ki
kanwal malik
 

 

Blue bar

CLICK HERE TO GO BACK TO HOME PAGE