Cheshm-e nem bey
asar bhi hoti hai
Kisht-e-dil bay
semer bhi hoti hai
Bey hisi kaarger
bhi hoti hai
Zindigi ko
teveel hi mut jaan
Zindigi mukhteser
bhi hoti hai
Hemein yek-ser hi
bey keber na semejh
Hemein kuchh kuchh
kheber bhi hoti hai
Qend-e-jaaN hei Sukhen
meger is se
Zindigi telkh-
ter bhi hoti hai
Bolo Kawish kih
baaz mauqeoon per
Khameshi fitna-ger
bhi hoti hai.
__________________________
JO BEY -WEFAAIYAAN
HEM SE HOOIN WOH KERNI NA THEEN
HEM UN MEIN REHTE
TO WOH BESTIAAN BIKHERNI NA THEEN
WOH THEEN HEMAREY
HI KHELOON SE, DOSTANOON SE
NA HEM NIKELTE TO
GELIAAN HEMARI MERNI NA THEEN
TAMAAM UMR JO
ROTI REHEEN HEMAARA
FIRAQ
DO AANSOO-OON SE BHI AANKHEIN
HEMEIN WOH BHERNI NA THEEN
GHEROON MEIN DHELTI
HEIN HEM BIN WOH SHAMEIN BERSOON SE
JO AIK DIN BHI
HEMARE BEGHEIR UTERNI NA THEEN
JUDA HI HEM
SE JO JEETE REHE JO MER BHI
GEYE
SELAAKHEIN UN MEIN
GHEM-E-MUSTEQIL KI BHERNI NA THEEN
HEI THORA SECH
BHI, BEHUT JHOOT HEI MIREY ENDER
MEIN SECH HI HOTA
TO SOCHEIN MIRI BIKHE RNI NA THEEN
TUM AAP APNI
SEZA FAISLA KERO
KAWISH
JEFAAIEN TUM NE JO KEEN
KIA TUMHEIN WOH BHERNI NA THEEN .
________________________________________________________
Tumhare saath meiN
tum jeisa kuchh legoon to cheloon
Mein khud ko
accha bena loon sanwaar loon to cheloon
Tum aise
khushboo-oon, phooloon ke hem-qebeelah, tumhein
Mein apna kaantoon sa
jeewen beta sekoon to cheloon
Mein zindigi
ke temaanchoon ki aadetoon wala
Tumhare piar ki
nermi sehaar loon to cheloon
Mujhe jehaan
ne hemesha biger ke dekha hei
Tumhare
zaavia-e-mehr mein dheloon to cheloon
Ajeeb zehr sa
dunia ko meiN ne chekha hei
Tumhari cheshm-e-muhebbet
se ji uthoon to cheloon
Jo merey hein
unhein bhi mujh se renjishein hein behut
MeiN sare renj
tumhein apne keh chukoon to cheloon
Suno yih
mauj-e-ghem ik dil meiN merey ubhri hei
Mein is ke saath
zera doob teir loon to cheloon
MeiN jaanta
hoon kih aakhir to ebr chhet-ta
hei
Kuchh aati dhoop ko
bhi zihn mein rekhoon to cheloon